السلام عليكم
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
آج کی نصیحت:
تلاوت قرآن کے مواقع کو غنیمت جانیں!
جیل اور قید خانے میں موجود قیدی چاہتا ہے کہ اسے قرآن مجید کا نسخہ مل جائے تا کہ وہ تلاوت کر کے اپنی تنہائی اور وحشت کو دور کر سکے۔ ہسپتال میں پڑا مریض خواہش کرتا ہے کہ اسے قرآن مجید پڑھنے کی طاقت مل جائے تا کہ وہ تلاوت کرکے اپنے مرض کی تکلیف میں کمی اور تشفی محسوس کر سکے۔ فوت شدہ شخص یہ خواہش کرتا ہے کہ اسے تلاوت کرنے کا دوبارہ موقع ملے تا کہ وہ تلاوت کر کے اپنے درجات بلند کروا سکے۔ اور ہم تندرست و توانا اور زندہ لوگوں کا حال کیا ہے؟
آج قرآن مجید کی تلاوت ہماری دسترس اور استطاعت میں ہے لیکن تلاوت کیے بغیر ہفتے اور مہینے گزر جاتے ہیں۔ کیا ہم اس بات کے منتظر ہیں کہ قرآن مجید کو پڑھنے کی خواہش اس وقت کریں جب وہ ہماری دسترس میں ہی نہ ہو؟
----------------------------------
Aaj ki Naseehat:
Tilawat-e-Quran ke Mauqay ko Ghanimat Janein!
Jail aur qaid khanay mein mojood qaidi chahta hai ke use Quran-e-Majeed ka nuskhah mil jaye taa ke woh tilawat kar ke apni tanhai aur wehshat ko door kar sake.
Hospital mein pada mareez khwahish karta hai ke use Quran-e-Majeed parhnay ki taqat mil jaye taa ke woh tilawat kar ke apni marz ki takleef mein sukoon aur tasalli mehsoos kar sake.
Faut shuda shakhs yeh tamanna karta hai ke use dobara tilawat karne ka mauqa milay taa ke woh tilawat ke zariye apne darjaat buland karwa sake.
Aur hum, jo tandurust, tawana aur zinda hain, hamara kya haal hai?
Aaj Quran-e-Majeed ki tilawat hamari dastaras aur istita'at mein hai, lekin is ke bawajood haftay aur maheenay guzar jate hain aur hum ise khol kar bhi nahi dekhte.
Kya hum is lamhay ka intezar kar rahe hain, jab Quran-e-Majeed ko parhnay ki khwahish karein, magar woh hamari dastaras mein na ho.