السلام عليكم
بِسمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
شعبان میں رمضان المبارک کی تیاری!
شعبان کے تیزی سے گزرتے دن رمضان المبارک کی تیاری کیلئے بہت بڑی غنیمت ہیں ۔ دنیاوی کاموں کیلئے ہم رات دن ایک کر دیتے ہیں، اگر رمضان کی تیاری کیلئے ابھی سے تگ و دو شروع کر دی جائے تو آنے والا رمضان ہمارے لیے کئی گنا زیادہ مفید اور روحانی ترقی کا سبب بن سکتا ہے۔ شعبان کے یہ ایام عام دنوں کی طرح نہ گزاریں یہ بہت قیمتی ایام میں، ہر آنے والا دن میں رمضان المبارک کو قیمتی بنانے کے نئے مواقع فراہم کر رہا ہے بہت سے اللہ والے رمضان المبارک ختم ہونے کے بعد اس کی برکتوں کا تذکرہ کرتے کرتے 6 ماہ گزار دیتے ہیں اور پھر یہ دعائیں مانگتے کہ انہیں مزید 6 ماہ بعد آنے والا رمضان نصیب ہو جائے ۔ اندازہ لگائیں کہ اللہ والوں کو رمضان کی آمد کاکس شدت سے انتظار ہوتا تھا۔
--------------------------------
Shaban Mein Ramzan-ul-Mubarak Ki Tayari!
Shaban ke tezi se guzarte din Ramzan-ul-Mubarak ki tayari ke liye bohot badi ghanimat hain. Dunyawi kamon ke liye hum raat din aik kar dete hain, agar Ramzan ki tayari ke liye abhi se tag-o-do shuru kar di jaye to aanay wala Ramzan hamare liye kayi guna zyada mufeed aur roohani taraqqi ka sabab ban sakta hai.
Shaban ke ye ayam aam dino ki tarah na guzarain, ye bohot qeemati ayam hain. Har aanay wala din Ramzan-ul-Mubarak ko qeemati banane ke naye moqay faraham kar raha hai. Bohat se Allah wale Ramzan-ul-Mubarak khatam hone ke baad is ki barkaton ka tazkara karte karte 6 mah guzaar dete hain aur phir ye duain mangte hain ke unhein mazeed 6 mah baad aanay wala Ramzan naseeb ho jaye.
Andaaza lagayein ke Allah walon ko Ramzan ki amad ka kis shiddat se intezar hota tha.