السلام عليكم
بِسمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ
شب براءت کرنے کے کام !
شب براءت کی برکات حاصل کرنے کیلئے درج ذیل اعمال کا اہتمام کریں:
1) نماز عشاء اور نماز فجر با جماعت ادا کریں، کیونکہ نماز عشاء باجماعت ادا کرنے پر آدھی اور پھر نماز فجر باجماعت ادا کرنے پر پوری رات عبادت کا ثواب ملتا ہے_
2) اس رات بقدر استطاعت انفرادی طور پر یا اجتماعی طور پر ذکر واذکار تسبیحات، درود شریف، نوافل، قضا نمازیں، صلوۃ التسبیح اور زیادہ سے زیادہ تلاوت قرآن کریں_
3) توبہ واستغفار کا خاص اہتمام کریں۔
(4) اپنے لیے اور پوری امت مسلمہ کیلئے خیر وبھلائی اور عافیت کی رو رو کر دعائیں مانگیں۔
5) اس رات اگر بہت زیادہ عبادت نہ کر سکیں تو کوئی بات نہیں لیکن گناہوں سے بچنے کا ضرور اہتمام کریں ، بالخصوص ان گناہوں سے جو اس رات کے فضائل سے محرومی کا سبب بنتے ہیں۔
--------------------------
Shab-e-Baraat karne ke kaam!
Shab-e-Baraat ki barakat hasil karne ke liye darj zail aamaal ka ehtemaam karein:
1️⃣ Namaz-e-Isha aur Namaz-e-Fajr ba-jamaat ada karein, kyunki Namaz-e-Isha ba-jamaat par aadhi aur phir Namaz-e-Fajr ba-jamaat ada karne par poori raat ki ibaadat ka sawab milta hai.
2️⃣ Is raat apni istitaat ke mutabiq infiradi ya ijtimai tor par zikr-o-azkaar, tasbihaat, durood shareef, nawafil, qaza namazein, Salat-ul-Tasbeeh aur ziyada se ziyada tilawat-e-Quran karein.
3️⃣ Tauba aur istighfar ka khaas ehtemaam karein.
4️⃣ Apne liye aur poori Ummat-e-Muslima ke liye khair, bhalai aur aafiyat ki ro ro kar duaein maangein.
5️⃣ Agar is raat bohot zyada ibaadat na kar sakein to koi baat nahi, lekin gunaahon se bachne ka zaroor ehtemaam karein, khusus'an un gunaahon se jo is raat ke fazail se mehroomi ka sabab bante hain.