السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
ماه شعبان کی پندرھویں رات کی اہمیت
شب برات کی اہمیت وفضیلت پر مروی احادیث صرف اس لیے نہیں ہیں کہ کوئی بھی بندہ مومن فقط ان کا مطالعہ کر کے انہیں قصے کہانیاں سمجھتے ہوئے صرف نظر انداز کر دے، بلکہ ان احادیث کے بیان کا مقصود یہ ہے کہ انسان اپنے مولا خالق کا ئنات کے ساتھ اپنے تعلق کو استوار کرے جو کہ اس رات اور اس جیسی دیگر روحانی راتوں میں عبادت سے میسر ہو سکتا ہے۔ ان بابرکت راتوں میں رحمت الہی اپنے پورے جو بن پر ہوتی ہے اور اپنے گناہگار بندوں کی بخشش و مغفرت کے لئے بے قرار ہوتی ہے لہذا اس رات میں قیام کرنا کثرت سے تلاوت قرآن، ذکر عبادت اور دعا کرنا مستحب ہے اور یہ اعمال احادیث مبارکہ اور سلف صالحین کے عمل سے ثابت ہیں ۔
-------------------------
Mah-e-Shaban ki Pandarhwin Raat ki Ahmiyat:
Shab-e-Barat ki ahmiyat o fazilat par marwi ahadees sirf is liye nahi hain ke koi bhi banda-e-momin faqat inka mutala kar ke inhein qisse kahaniyan samajhte hue sirf nazar andaaz kar de, balki in ahadees ke bayan ka maqsood yeh hai ke insaan apne Maula Khaliq-e-Kainat ke sath apne talluq ko estawar kare, jo ke is raat aur is jaisi deegar roohani raaton mein ibadat se mayassar ho sakta hai. In babarkat raaton mein rehmat-e-Ilahi apne poore joban par hoti hai aur apne gunahgaar bandon ki bakhshish o maghfirat ke liye beqaraar hoti hai. Lihaza, is raat mein qiyam karna, kasrat se tilawat-e-Quran, zikr, ibadat aur dua karna mustahab hai, aur yeh aamaal ahadees-e-mubarakah aur salaf saliheen ke amal se sabit hain.