السلام علَيْكُم
آج کی نصیحت:
کرسمس منانا یا کرسمس کی مبارک باد دینا یا انکی پارٹیوں میں جانا حرام ہے اس بات کا لوگ شعور نہیں رکھتے کہ جب ہم کسی کو کرسمس کی مبارک دیتے ہیں تو ہم اس بات سے اتفاق کر رہے ہوتے ہیں کہ حضرت عیسی علیہ السلام 25 دسمبر کو پیدا ہوئے اور ہم اس بات سے بھی اتفاق کر رہے ہوتے ہیں کہ اللہ تعالیٰ نے بیٹا جنا، کیونکہ عیسائیوں کے عقیدے کے مطابق عیسی اللہ کا بیٹا ہے نعوذ باللہ .. ! جبکہ اس بات کا اقرار کفر و شرک تک پہنچا دیتا ہے۔ لہذا ان تہواروں سے خود بھی بچیں اور اپنے گھر والوں، رشتہ داروں اور دوست احباب کو بچائیں
-------------------------------
Aaj ki Naseehat:
Christmas manana ya Christmas ki mubarak baad dena ya unki partyon mein jana haraam hai. Is baat ka log shaoor nahi rakhte ke jab hum kisi ko Christmas ki mubarakbaad dete hain, to hum is baat se ittifaq kar rahe hote hain ke Hazrat Isa (Alaihi Salaam) 25 December ko paida hue, aur hum is baat se bhi ittifaq kar rahe hote hain ke Allah Ta'ala ne beta jana (Naozubillah). Kyunke Isaiyon ke aqeede ke mutabiq Isa Allah ka beta hai (Naozubillah)...!
Jab ke is baat ka iqrar kufr aur shirk tak le jata hai. Lihaza in tehwaron se khud bhi bachen aur apne ghar walon, rishtedaron aur doston ko bhi bachayen.