السلام عليكم
بسم اللہ الرحمن الرحيم
اعتکاف کرنے کے فائدے:
معتکف کیلئے لیلتہ القدر کو تلاش کرنا آسان ہوتا ہے۔
معتکف کے قلب و ذہن پر صرف ذکر الہی جاری ہوتا ہے جس کی بنا پر وہ فرشتوں کی مشابہت اختیار کرتا ہے۔
معتکف ساری ناجائز خواہشات اور گناہوں سے بچارہتا ہے۔
معتکف کو مسجد میں وقت گزارنے کی سعادت ملتی ہے جو زمین پر اللہ کا سب سے محبوب مقام ہے۔
اعتکاف سے آدمی کو آخرت کی فکر لاحق ہوتی ہے۔
معتکف کو باجماعت نماز کی عادت اور سعادت نصیب ہوتی ہے۔
معتکف کو تہجد کی عادت پڑ جاتی ہے۔
حالت اعتکاف میں فضول گوئی اور فضول کلام کی بری عادت سے نجات ملتی ہے اور وہ کم گوئی کی عادت حسنہ کا عادی ہو جاتا ہے۔
معتکف کو تنہائی میسر ہوتی ہے جس میں اپنی گذشتہ خطاؤں پر ندامت کے آنسو بہا سکتا ہے اور تو بہ کر کے نئے سرے سے اپنی زندگی کو احکام الہی کے مطابق بسر کر سکتا ہے۔
معتکف کو مسجدکیساتھ ایک خاص انس اور پیار ہو جاتا ہے۔
----------------------------------
I'tikaf karne ke faiday:
✅ Muta'kif ke liye Lailatul Qadr ko talaash karna aasan hota hai.
✅ Muta'kif ke qalb o zehan par sirf zikr-e-Ilahi jari hota hai, jis ki bina par wo farishton ki mushabahat ikhtiyar karta hai.
✅ Muta'kif sari najaiz khwahishat aur gunahon se bacha rehta hai.
✅ Muta'kif ko masjid mein waqt guzarne ki sa'adat milti hai, jo zameen par Allah ka sab se mehboob maqam hai.
✅ I'tikaf se aadmi ko aakhirat ki fikr laahiq hoti hai.
✅ Muta'kif ko ba-jama'at namaz ki aadat aur sa'adat naseeb hoti hai.
✅ Muta'kif ko tahajjud ki aadat par jati hai.
✅ Haalat-e-I'tikaf mein fazool goi aur fazool kalaam ki buri aadat se nijaat milti hai aur wo kam-goi ki aadat-e-hasana ka aadi ho jata hai.
✅ Muta'kif ko tanhai mayassar hoti hai, jismein apni guzishta khataon par nadamat ke aansu baha sakta hai aur tauba kar ke naye sire se apni zindagi ko ahkaam-e-Ilahi ke mutabiq basar kar sakta hai.
✅ Muta'kif ko masjid ke saath ek khaas uns aur pyaar ho jata hai.