السلام عَلَيْكُم ورحمة الله وبركاتة
میاں بیوی میں جدائی کروانا شیطانی کام ھے:
حضور خاتم النبيين ﷺ نے ارشاد فرمایا:
بے شک شیطان اپنا تخت پانی پر رکھتا ہے، پھر وہ اپنے لشکروں کو بھیجتا ہے پس مرتبے کے اعتبار سے اس کے نزدیک وہی مقرب ہوتا ہے جو فتنہ ڈالنے میں سب سے بڑا ہو۔ ان میں سے ایک آتا ہے اور کہتا ہے : میں نے اس اس طرح کیا ، تو شیطان کہتا ہے : تو نے کوئی (بڑا کام) سرانجام نہیں دیا۔ فرمایا : پھر ان میں سے ایک اور آتا ہے اور کہتا ہے : میں نے (فلاں آدمی ) کو اس وقت تک نہیں چھوڑا
جب تک اس کے اور اس کی بیوی کے درمیان جدائی نہ ڈال دی، فرمایا : شیطان اسے اپنے قریب کر لیتا ہے اور کہتا ہے : ہاں! تو (نے بڑا کام کیا) ہے۔
صحیح مسلم شریف حدیث نمبر 7106
------------------------------
Huzoor Khatam-un-Nabiyyin ﷺ ne irshaad farmaya:
Beshak shaitaan apna takht paani par rakhta hai, phir woh apne lashkaron ko bhejta hai. Pas martabay ke i'tibaar se us ke qareeb wohi hota hai jo sab se bara fitna daalne wala hota hai. Un mein se ek aata hai aur kehta hai: "Main ne yeh yeh kiya," to shaitaan kehta hai: "Tu ne koi bara kaam nahi kiya." Phir un mein se ek aur aata hai aur kehta hai: "Main ne (flaan aadmi) ko us waqt tak nahi chhoda jab tak us ke aur us ki biwi ke darmiyan judaai na daal di." Farmaya: Shaitaan use apne qareeb kar leta hai aur kehta hai: "Haan! (Tu ne bara kaam) kiya hai."
Sahih Muslim Shareef, Hadees No. 7106